Hindi ki umeed

Kuch karne ki khwaish roj subah jaag jati hai, raat tak to uski chita jal ke khamosh hojati hai

Hindi me ek lablaba pan hai, jo aur kisi bhasha me nahi, ye sirf hindi padhne walo ko hi swad lag sakti hai, juban tartara jati hai, kabhi mirchi lag jati hai to kabhi meetha paan sa lagti hai, khaye raho din bhar aur jab koi adha angrez samne aaye to bagal me kahi thook do aur bhool jao hindiya paan ko

‘Hello Sir, how do you do?’ par hoth to hindi se laal reh hi jayenge, dikh jayenge, nahi chupa paoge apna pyaar, kitni bhi garaj baraj koshish kar dalo, mar jaoge par pyar laal jeebh ki tarah, ambulance ki siren ban ke dikhai deta rahega har ajnabi ko, itna gehra hai hindi novels, hindi poetry padhne walo ka hindi ke shabd se pyar

Itna ki bechari hindi piss jati hai… pyar sambhalna nahi aaya, dusri girlfriend banane walo ko deshdrohi keh diya jata hai.

Are unki zuban kabhi ma ko yaad karke hindi me royi nahi, baap ki naraz aankhen hindi me dekhi nahi, dhoop me bahar nikal ke kaha jaaye ye hindi me socha hi nahi to bhala unhe kaise ye pyaar mehsoos hoga, jiska dard unhone kabhi hindi me mehsoos hi nahi kiya

Hindi matlab, gali galauch, ma ka aanchal, kitchen ki garmi, baap ki chaaya ki yaad, chupa ke rakhe 4 aasun, aur ek akeli ladki…

Join the ConversationLeave a reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Comment*

Name*

Website